Jaane kya baat hai usmein



 Raat kitni hi bhayanak kyun na ho.

Subah zaroor hoti hai…


रात कितनी ही भयानक क्यों न हो.

सुबह ज़रूर होती है…


Humne jo ki thi mohabbat aaj bhi hai.

teri zulfon ke saaye ki chahat aaj bhi hai.

raat katti hai aaj bhi khayalon mein tere.

deewano si wo meri haalat aaj bhi hai.

kisi aur ke tasavvur ko uthti nahi,

beimaan aankhon mein thodi si sharafat aaj bhi hai.

chah ke ek baar, chahe phir chhod dena tu.

dil tod tujhe jaane ki izaazat aaj bhi hai…


हमने जो की थी मोहब्बत आज भी है.

तेरी जुल्फों के साये की चाहत आज भी है.

रात कटती है आज भी ख्यालों में तेरे.

दीवानों सी वो मेरी हालत आज भी है.

किसी और के तसव्वुर को उठती नहीं,

बेईमान आँखों में थोड़ी सी शराफत आज भी है.

चाह के एक बार, चाहे फिर छोड़ देना तू.

दिल तोड़ तुझे जाने की इजाज़त आज भी है…


Pyaar to sabko hota hai.

par poora kahan sabka hota hai.


प्यार तो सबको होता है.

पर पूरा कहाँ सबका होता है


Also, Read -

Shayari On Life

Love Shayari In Hindi

Heart Touching Shayari



Wo kehte hain kabhi aur, kabhi aur hota nahi.

Dil bhi to nadan unke sivah kahin aur khota nahi.

hum mangte hai ek saans, ek dhadkan, ek nigaah.

wo kabhi aur de jaate hai…

par ye kambakht kabhi aur, kabhi aur hota nahi


वो कहते हैं कभी और, कभी और होता नहीं.

दिल भी तो नादाँ उनके सिवाह कहीं और खोटा नहीं.

हम मांगते है एक सांस, एक धड़कन, एक निगाह.

वो कभी और दे जाते है…

पर ये कमबख्त कभी और, कभी और होता नहीं


Teri zulfon se chanti aati

bulb ki roshni ko dekh aaisa laga …

jaise kisi jharokhe se chaand jhaank raha ho.


तेरी जुल्फों से छनती आती

बल्ब की रौशनी को देख ऐसा लगा …

जैसे किसी झरोखे से चाँद झाँक रहा हो.


Wo aaj humse mile anjaano ki tarah.

hum yunhi raah take baithe the deewano ki tarah.

har nigaah mein aur door chale jaate hai.

humse nazar churate hai beimaano ki tarah.

hum yunhi raah take baithe the deewano ki tarah…


वो आज हमसे मिले अंजानो की तरह.

हम यूंही राह तके बैठे थे दीवानों की तरह.

हर निगाह में और दूर चले जाते है.

हमसे नज़र चुराते है बेईमानो की तरह.

हम यूंही राह तके बैठे थे दीवानों की तरह…


Koi galati itni badi nahi hoti.

jisse zinda rakhne ke liye,

zindagi ka gala ghoont diya jaye…


कोई गलती इतनी बड़ी नहीं होती.

जिससे ज़िंदा रखने के लिए,

ज़िन्दगी का गला घूँट दिया जाए…


Tum kya leke aaye the, kya leke jaoge.

nange chale aaye the, nange hi chale jaoge…


तुम क्या लेके आये थे, क्या लेके जाओगे.

नंगे चले आये थे, नंगे ही चले जाओगे…


Jaane kya baat hai usmein

jo mujhe kisi aur mein nazar nahi aati …

kya kashish hai un aankhon mein ki main nazar hata nahi paati.

kya hai jo mujhe har pal hairan kiya karta hai …

kya hai jo main tasavvur se mitta nahi paati…


जाने क्या बात है उसमें

जो मुझे किसी और में नज़र नहीं आती…

क्या कशिश है उन आँखों में कि मैं नज़र हटा नहीं पाती.

क्या है जो मुझे हर पल हैरान किया करता है…

क्या है जो मैं तसव्वुर से मिटा नहीं पाती…

Comments